Yun hi hansi hansi main


I was sent a poem-on-request by Sanix, in response to what I read at Unique’s Blog Comment
Here it is… It is also posted as a comment on THIS ONE

Shall be translating it in English Soon…

Yun hi hansi hansi main
hum dilon se khel jate hain
koi choti si teekhi baat
koi chubhta hoa jumla
koi zehar aalod lehja
sunne wale ke dil par ghao laga jaati hai
phir kitene hi talafi ke marham lagao
qatrah qatrah khon
tapakta hi rehta hai
woh ansoo
jo aankh se girta hi nahin
andar hi andar jam jaata hai
barf par gire garam mom ke qatre ki tarah
aur woh barf toh shayed
waqt ki garmi se pighal jaati hai
magar woh qatra
jab bhi pighalne lagta hai phail jaata hai
badh jaata hai bas khatam nahin hota
aur
yun hi hansi hansi main
hum dilon se khel jaate hain

One Comment

  1. Posted Tue, Jun 19, 2007 at 14:05 | Permalink

    I am reminded of what great-grand-uncle Ghalib once said…

    “RagoN meiN dauDte phirne ke ham naheeN qaayal
    Jab aaNkh hee se na Tapka to phir lahoo kya hai?”

    WuaaaH!!!

    Like


Post a Comment

Required fields are marked *
*
*